WHATSAPP KO DESKTOP ME KAISE DOWNLOAD KARE

Whatsapp dunia ka sabse popular chat app hai. Android market me aap ko bohat se chatting apps mil jayege.
 Lekin whatsapp ka use log sabse jyada karte hai. Isliye youth people ke liye whatsapp sabse jyada popular app hai. Iski popularity ka reason ye hai ki whatsapp ko use karna bahut hi easy hai. Whatsapp ko bacche se lekar bado tak sabhi ise asani se samjh lete hai. Kuch apps aise hote hai jinhe hame samjne me kafi waqt lag jata hai.

Aapko bohat kam hi internet user milege jo aaj ke time me whatsappka use na karte ho. Aap jiska bhi smartphone dekhege bhale hi usme aur kuch na mile lekin apko whatsapp application jarur dekhne ko mil jayegi. Toh ye toh ho gayi whatsapp ke bare me basic bate. Toh dosto aaj ka hamara topic hai ki pc me whatsapp kaise download  kare. 


Abhi tak pc me whatsapp ko use karne ke liye ham android player ya aur bhi 3rd party ke software ki help lete the. Lekin ab apko aisa kuch bhi karne ki jarurat nahi hai. Whatsapp ne apna khud ka pc version app bana diya hai. Jise aap window me install karke pc me whatsapp ka maza le skte hai.


Whatsapp Desktop App Kaise Download Kare


Abhi tak whatsapp ne only mobile version ka app hi banaya tha. Lekin mobile me hame typing karne me kafi problems hoti hai. Kyuki mobile ki screen chhoti hai. Isko dekhte huye whatsapp ne desktop version me launch karne ka faisla liya tha. 10 May 2016 ko whatsapp ka desktop version launch kiya gaya. Whatspp ne windows aur mac ke liye launch kiya hai. Whatsapp ko aap windows 8 operating system par hi run kar skte hai. Aur Mac Me Os 10.9 me use kar skte hai. Agar aap ise download karna chahte hai toh whatsapp ki official website whatsapp.com se download kar skte hai. Aap yaha se bhi whatsapp ko direct download kar skte hai. (download whatsapp pc app)



Desktop whatsapp me wo sare features hai. Jo aapke phone wale whatsapp me the. Isme aap voice call ka bhi use badi asani se kar skte hai. Ye bilkul apke mobile wale whatsapp jaisa hai. So apko ise use karne me koi pareshani nahi hogi. Aap aisa hi samje ki ham apne phone par hi whatsapp ka use kar rhe hai.
Previous
Next Post »
Thanks for your comment