Hello Friends aaj ham online world ka sabse bade sabaal ke jabab ke baare me jaanege – Website, ji hai website kaise banti hai aaj ham ye jaanege.
Agar aap apna business online karna chate ho ya apne kisi knowlage ko duniya se online share karna chateho to aap ki website hona bhut jaruri hai, or aaj ham janege ki free website (blog) kaise banate hai Google ki Madad se.
Start karne se Phele me kuch baate hai jo me aap ko batana chata hu ki, ham jo website bana rahe hai bo blogger.com par banegi. Blogger.com Google ki hi ek service hai or ye bilkul free hai.
Website (Blog) Banane ke liye kin-kin chijo ki jarurat hai
- ek Gamil account
- computer
Website (Blog) kaise banaye
Step by step follow karo-
Step 1: www.Blogger.com par jao.
Agar aap ke paas phele se Google account (gmail) account hai to aap us se login kare ya fir phele Gmail par ek account banaye.
Step 2: Blog bnane ke liye New Blog ki button par click kare
Step 3: ek naya page khulega
Is page par aap ko apne blog ka tital, uska link (url) or uska template select karna hai. iske baad Create Blog ki button par click kare.
- Title – Isme aapko apne Blog ka Naam Likhna hai.
- Address – Blog ka kya address dena hai. jo phele se kisi ka naa ho. Badiya Address kaise select kare
- Template – Niche diye huee template me se template ko select kate. Pade kaise Change karte hai Template ko
- Create Blog! – Last me is button par click kare.
ye lijiye aapki website bankar teyaar hai.
*Note: ek baat dyaan rake ki aapke blog ki jo link rahegi usme blogspot bhi rahega. matlab
maan lijiye aapne blog ke link liya ram to aapke blog ki link rahegi ram.blogspot.com. agar aapko ye blogspot hatana hai to uska bhi tarika hai jo me aapko aage bataoga.
Ab hamne ye to sikh liya ki blog kaise banate hai or ye kitna saral hai. agar aapko blog banate hue dekha hai to ye video dekho
Aage jaaniye
Apne Blog ko pura website me kaise convert kare Domain Register karke blog me add kare
Me jaanta hu aapke dimaag me bhut se sabaal hoge, or aap un sabaalo ke jabab bhi chate hoge. agar haa to niche comment jarur kare ya hamare Sabaal Jabaab Section me post kare. or aapko ye jaankari kesi lagi iske baare me comment karke jarur bataye.
Hindi Me Help ka Facebook Group Join kare or apni or dusro ki help kare
Aap ka din subh ho.
1 टिप्पणियाँ:
Click here for टिप्पणियाँnice post sir thank you very much.
ConversionConversion EmoticonEmoticon