Android phone ke liye top5 best lonchar apps



Hi mera name amit upadhyay hai, Mai GyanBook.in ka founder hu. Mai apko android phone se related kuch batana chahta hu. Kya aap android phone ke default launcher ko use karke bore ho chuke hai.

Playstore me android phones ke 1000 toh nahi lekin 100 launcher jarur apko mil jayenge. Unme se kuch Top launcher hai or baki ke launcher ko download  or install karna dono time or Internet data waste karna hai.
Aap sabhi launcher ko try karke decide nahi kar sakte konsa launcher apke android phone ke liye best hai. Islye mai apko 5 Top android launcher ke bare me bata raha hu. Ye launcher apke phone ke look ko badal dega or apke phone ke features ko bhi badha dega. Ye sabhi apps Google play store pe free me download kar sakte hai. Sabhi launcher ko try jarur kare.

Android Phone ke Best Launcher ki List

1. Yahoo Aviate Launcher

Yahoo ne kuch din pahle apna android launcher banaya hai jiska name Aviate hai. Apne name ki tarah ye launcher cool hai or extraa ordaniry features deta hai. Aviate launcher Use karne me easy hai. Launcher me apko 4 sliding screen milenge- home screen, important apps, setting option, Sabhi apps alphabetical arrange. Jab aap headphone ko apne mobile me plug kaerenge toh apke phone ka music app automatically launch ho jayega. Is launcher me pahle se wallpaper gallery hai jisne muge bahut impress kiya. Ye ek smooth or light launcher hai.
2. Buzz Launcher

Ye launcher android phone ke liye best launcher hai. Buzz launcher ko use karke aap kabhi bhi bore nahi ho sakte. Launcher ki sabse bari khasiyat hai ki yaha 1000+ types ke home scree hai jisko time to time change karke apne ko new look de sakte hai. Launcher me Internet se bahut se icon download karke ya galleey se pic select karke home scre pe laga sakte hai. Buzz launcher ek super customizable or smooth launcher hai.

3. Google Now launcher
Google now, upar ke launcher ki tarah good looking toh nahi hai, lekin is launcher ko use karke apne phone ko voice power de sakte hai. Apko sirf ‘Okay Google’  kahna hai or ye launcher James bond ki movie tarah apke voice pe work karega.Agar aap ‘Call Puja’  kahenge toh ye launcher directly Apke phone me save kisi pooja ko call kardega. Yadi aap ‘Take me to New delhi’  kahenge toh ye launcher apko android phone ke map ke through New delhi ka location dikahyega. Aise bahut sare commands hai jiska use karke aap apne voice se android phone ko use kar sakte hai.

4. Themer launcher
Themer bhi good looking launcher hai, waise toh ye launche buzz launcher se kuch milta julta hai. Lekin iske pas apna theme upload karne ka features hai. Aap yaha khud ka banaya hua bahut sara theme upload or use kar sakte hai. Iske kuch negative points bhi hai jaise ki ye launcher kabhi kabhi work nahi karta lekin mughe pata chala ki mere phone me aviate or buzz launcher pahle se installed hai jiski wajah se ye work nahi kar raha hai. Phir mene aviate or buzz launcher ko uninstall kar diya tab jake ye launcher ache kam kar raha hai.
5. Smart launcher
Ye sabse cute launcher hai, Smart launcher me bahut se app drawer hai jo isye smart launcher banata hai. App drawer me sabhi apps category ke hisab se set hai. Games ek jagah hai toh, Internet apps ek jagah, music, video apps sabhi alag alag category me hai.Ye launcher easy navigation ke liye best hai.Smart launcher me Google now ki tarah Ok google features available hai.

Last Words

Play-Store pe bahut se Launcher available hai lekin mene apko top 5 launcher ke bare batya hai. Apko jo launcher pasand aye usko choose karke install karle. Ye sabhi launcher apko playstore pe free me mil jayega.
Previous
This is the oldest page
Thanks for your comment