Photoshop ek bahut hi bahtari application hai, iska use kai blogging me infographic design karne me bhi kiya jata hai aur sath me main iska use business me kai log wedding images ko design karne me bhi lete hai.
lekin kai user confuse ho jate hai yah soch kar ki ise kaha se sikhan shuru kare. Kyonki yah baaki tool ki tarah simple bhi nahi hai, yah start me bahut hi complicated lagta hai lekin kuch practice ke bad yah apko samajh aane lagega.
Lekin, ab apko aur bhi confuse hone ke koi jarurat nahi hai, is content me Photoshop ke pahle basic ko clear kiya jaega, jo har topic ka clear hona bahut jaruri hota hai.
Photoshop ke Puri basic ko Samjhe kewal 10 minutes me
Jaisa ki ham sab jante hai, koi bhi course karne se pahle ya kisi bhi subject me exprt banne se pahle uska basic janna bahut jaruri hota hai.
To is content me ham Photoshop ke basic ko samjhege wo bhi achhe tarike se.
To chaliye ise shuru karte hai.
PhotoShop Sikhna Start yaha se kare
Sabhi Points ko achi se dekhe or samje or sath me chala kar bhi dekhege to or acha rahega.
Open File (Shortcut Ctrl+O )
Sabse pahle to sikhte hai ki Photoshop me photo ko kaise open kare. Jiske liye, File > Open me jaye.
New File (Shortcut Ctrl+N )
Jab hame koi new sheet/layer leni hoti hai tab yah use me lete hai. Jiske liye File > New me jaye.
Ab jab hame photo select karni aa gai aur new layer banani bhi aa gai to ab aata hai use edit kare, photo edit karne ke liye Photoshop me kai Tools hai jinhe ham vistaar se samjhte hai.
Photoshop ke tool ko samjhe
Photoshop software ki kamyabi ka kaaran uske tools bhi hai jo bahut bahtarin hai, Photoshop ke tool ke bina koi bhi image edit nahi ho sakti hai.
Photoshop ke tools kuch is tarah se hote hai jo left side me hote hai.
Photoshop ke har version me ye tools same hi hote hai agar aap Photoshop ka CC version use karte hai tab bhi wahi tools hoge, but may be kuch tools new version me extra ho.
Move Tool (Shortcut Ctrl + Hold Click )
Photoshop software ki kamyabi ka kaaran uske tools bhi hai jo bahut bahtarin hai, Photoshop ke tool ke bina koi bhi image edit nahi ho sakti hai.
Photoshop ke tools kuch is tarah se hote hai jo left side me hote hai.
Photoshop ke har version me ye tools same hi hote hai agar aap Photoshop ka CC version use karte hai tab bhi wahi tools hoge, but may be kuch tools new version me extra ho.
Move Tool (Shortcut Ctrl + Hold Click )
Jab apko photo me koi perticular part select karna hai tab yah use kiya jata hai, select karke use delete, us par edit wager koi bhi kar sakte hai.
Is tool ka use karke aap kisi bhi photo ko 4 tarike se select kar sakte hai.
Lasso Tool (Shortcut L )
Ye tool bhi Marquee tools ki tarah hi hai, lekin is tool me kisi bhi image ko achhe se select kar sakte hai, jaise kisi photo me kewal apke background ko hi select karna, kisi particular ko select karna etc.
Jisme teen aur subtool hai, pahle se apni mouse arrow se select hota hai, dusre se state line se select aur teesre se magnet select hota hai, jo ki same color par magnet ki tarah selection ho jata hai.
Magic Wand Tool (Shortcut W )
Is tool se kewal ek particular color se select kar sakte hai. For example apne ye tool select kiya then apka ek pic hai jisme apke hair par click kiya kewal apke hair hi select ho jaege.
Crop Tool (Shortcut C )
Is tool se apni picture ko crop kar sakte hai. For example kisi group picture me apko kewal ek apni hi picture ko main picture banani hai baki sab hatana hai.
Brush & Pencil Tool (Shortcut B )
ConversionConversion EmoticonEmoticon