COMPUTER ME BOLNE WALA WINDOW KAISE BANAYE

Dosto aaj mai aapko aisi Trick batane ja raha hu jise bahut hi kam log jante hai.
Hamare Computer me bahut se aise fichars hote hai jinke bare me hame pata nhi hota hai, to usi se juda ek fichars ke bare me batane ja raha hu jo aap apne computer me jo bhi English Shabd type karnge use bolke batayega. Aur ye hame English sikhne me bahut hi madad kar sakta hai.


To chaliye jante hai bolne wala Window kaise banaye bs aap mujhe Step by Step follow kare.

Step 1 :----
Sabse pahle Aap apne Computer me Start >> All Programs >> Accessories >> Notepad par click karke Notepad open kare.

Step 2 :----
Ab neeche diya gya Code Copy (Ctrl+C) karke Notepad me Paste (Ctrl+V) kar de ya phir type kare, Jaise ki pic me diya gya hai.

Dim msg,sapi
msg=InputBox("Inter your Text To make it Spak","The Chakradhari kumar-Text to Aodio")
Set sapi=CreateObject("sapi.spvoice")
sapi.Speak msg


Step 3 :----
Phir aap use SPEAK.VBS naam se Save karde.

Step 4 :----
Ab ise open kare, open karne ke baad aap dekhnge ye ek alag hi window me open hoga.

1.   Yaha par aap jo bhi type karna chahte hai o type kare,
2.   Phir OK par click kare,

Ab aap dekhnge ki aapne jo bhi shabd type kiya tha use aapka Computer bolke batayega.

To kaise lagi ye hamari trick comment karke bataye aur aapko is trick me kahi bhi problem ho raha hai to comment karke puche.

Previous
Next Post »
Thanks for your comment