Aaj mai aapko windows 7 se Start button ka icon change Karne ke bare me bata raha hu. Isse pahle mai apni pichli post me Windows 7 Ke start button ka naam change karne ke bare me bataya tha. To ham is par zayada baate nahin karnge, Windows 7 ke Start button ka icon change karna bahut hi aasan hai ba aap mujhe follow karte jaye.
Windows 7 Ke Start Button Ke Iocn Ko change Kaise Kare
Stap 1 :----
Sabse pahle aap niche diye gye Download par click karke Start Buttons Icon ko Download kare jo ek zip file me hoga. Isme aapko lagbhag 600 icon milega. Download karne ke baad usse Extract kare.
Step 2 :----
Ab phir se Download par click kare aur Win7 start orb loader v1 Software download kare.
Step 3 :----
Download karne ke baad usse open karke usme se w7soldr.exe ko Run kare.
Step 4 :----
Software ko Run karte hi open ho jayega.
1. Enable start orb loader par Mark (√) kare,
2. Browse par click karte hi ek new window open hoga,
3. Ab open huye window me Start button icon ko select kare jise aapne Download karke Extract kiya tha,
4. Uske baad OK par click kare,
Step 5 :----
Ok par click karte hi sabhi icon window me Show hone lagega. Isme se aap kisi bhi Icon ko selete Karne ke baad Save Changes par click kare aur Computer ko Restart kare.
Ab aapke Start Button ka icon change hoga. Agar aapko isme koi problem hoti hai aap mujhe comment karke apna problem bataye aur ye bhi bataye ki ye post aapko kaisa laga.
ConversionConversion EmoticonEmoticon