Aapne Apna Blog bana liya hai Blogger par or ab aap teyaar hai Apne Blog par pheli post likhne ke liye to chaliye dekhta hai kaise Post ko likh kar kaise publish karte hai.
Ek baat ka diyaan rakhe jiski bhi aap post likhe uske bare me aapko achi jaankari hona chaiye agar nahi to phele apni jaankari badaye uske baad hi post ko likhe.
Kaise Kare Blogger me Post Likhne ke liye
Sabse phele apne blogger me sign kar ke dekhboad me jaye.
Ab deshboard me aapke pass 2 option hai New Post likhne ke.
Pencil ki Icon par click karke post likhe
New Post ki button par click karke post likhe.
dono ka ek hi kaam hai. Click karne ke baad aapke saamne post editor aayega.
1: Apni Post ke liye Heading dale Post Title me
Jo Aap ki Post ka Title (heading) hai wo NewsPaper ki headline ki trha honi chaiye, Jisko padne ke baad samaj aa jaye ki is post me kya hai.
2: Apni Post likhe Bade Hisse me
Ab aap apni Post likhe uske liye kuch tips hai –
Chote chote paragraph me post likhe
Kam se kam ek Image jarur use kare Post me. Stock Image sabse Best hai.
Kam se kam 300 sabd ki post jarur likhe. Isse hamare blog ko Search engine me faida hota hai.
Friend ye to sirf basic idea hai kaise Post kare. iske bareme me aage detal me bataoga kis trha se post likhe ki Google usko pasand kare.
????Post Me Labels jarur add kare –
ConversionConversion EmoticonEmoticon