Youtube Video ka sabse bada platform hai online jispar log apne video upload karte hai or Video upload karke unse rupee bhi kamate hai. Agar aap Youtube use karte hai to aapne bhi dekha hoga duniya bhar ke video hame youtube par mil jate hai.
Ham Youtube par Video ko dekhte hai or bhut se video hame pasand aate hai jinko ham baad me bhi dekhana chate jese koi Movie, Songs, Comedy Video ya koi or Video. Ham chate hai ki ham us video ko download karle apne computer ya mobile me taki ham baad me bhi us video ko dekh sakte chahe hamare pass net ho ya nahi, par yaha par ek dikkat hai Youtube jo hai bo Google ki service hai or bo hame video ko download karne ke liye koi option nahi deti.
Youtube se Video ko Download karne ke liye aapko bhut se Downloader software mil jayege net par. Par me aapko bataoga kaise bina kisi software ki madad se ham directly Video ko download kar sakte hai.
To Chaliye Jaante hai kaise…
Youtube Se Video ko Download Kare Bina Kisi Siftware ki madad Se.
Aap meri Simple Steps ko follow karo –
Step 1:
Youtube par jaa kar aap jis Video ko Download karna chate ho us video ko khole.
Step 2:
Ab jo Video ki link hai jo is prakar hoti hai
https://www.youtube.com/ watch?v=yNGSPVDZgI0
isme aapko suru me jo https://www. hai usko delete karke ss linkna hai. is trha
ssyoutube.com/ watch?v=yNGSPVDZgI0
SS likhne ke baad Enter ki button dabaye.
Step 3:
ab ek naya page khulega usme Video ki Download karne ke liye link hogi. Aap jis Quality me Video ko Download karna chahe bo select karke download kar sakte ho.
Video ka Formate select karne par video Download hona start ho jayega.
To friends ab aap jaan chuke ho kaise youtube ke video ko download kar sakte hai. Agar aapko kahi koi dikkat aati hai to comment karke jarur bataye. or is jaankaro ko Facebook, Twitter par share karna naa bhule
ConversionConversion EmoticonEmoticon