Google Map Me Apna Adress Free Me Kaise Jodte Hai Janiye Hindi Me ( With Images)

Hi Dosto , Technology Ke Itne badlane Ke bad Ab Aisa Lagta hai Ki Sabhi Kaam Online Hone Lagenge. yaha Me Google Map Ki Baat Karunga Apne Google Map Me Apna Place Ka Map To Search Kiya Hi Hoga. Aur Apne Kabhi Na Kabhi Apna Ghar Ya Office Bhi jarur Dekha hoga. Agar Apka Place Agar Google Map Me Show Ho Jaye To Baat Hi Kuch Aur hai. Esliye Me Apko Aisy Trick Bataunga Jisse Google Map Me App Apna koi Bhi Address Is Post ki madad se Asani se jod Sakte. Iske liye Apko Google Map Me Apko Pta hona chahiye Ki Jis Jagah ko app add kar rahe hai Wo address Sahi hai. Apko me bta Du Google Map Me Galat Address Add nahi kia Ja Sakta, Is Liye Me Aap Ko Salah Dunga ki Ek Bar Map Aur Reality me Wo Address Sahi hona jaruri hai.

How to Add My Place In Google Map For Public
Ab Apko Kuch Steps Follow Karne Hai. Jo Bahut Hi Simple Hai.
Google Par Map Maker search Kariye ,
Ya Direct https://www.google.com/mapmaker Par Jaa Sakte Hai.

Map Maker Ki Site Bhi Google Map Ki Site hai jis Par Apko Apne Office Ya Place ka Registration Karwana Hota hai 
Apko Ek Place New Add Karna hai To Apko Add New Par Click Karna hai
Add New Par Click karne Ke Bad app  Jis address ko Map Me dalna Chahte Hai, Wo Map Par adress Select Kijiye
Fir Uske liye Ek Category  Select kijiye. For Example Jaise Koi Hindu Mandir Add karna hai to Category Hindu Temple Hogi.
Uske bad Usme adress Detail Bharni hoti hai Jo Bilkul Sahi honi Chahiye.
Usko Save Karna Hai.

Dhyan Rakhe ki google Map us address Ko Review Karega aur address Correct hone par Us Address Ko Publish Kar dega.
Is Sab Process Me Time lagega Aur Apko Wait Karna Chahiye
Fir koi bhi us adress ko Dekh Sakta hai. Ese App Bhi Google Map ko Develop kar Sakte hai Koi Bhi Place Ko ya Road Ko add Kar Sakte hai
Agar App Google Map Me Apna Location Add Karte hai Aur Agar Wo location me Apka Koi Business Bhi Chal Rha hai. To App Google Business Se Ek Aur benefit utha Sakte hai. Google Business Listing Me Apna Business Add karke Apni Location Par Uska Impression Badha Sakte hai. Google Business Listing Me Add Karna Ka Koi Charge nhi hai. Ye Service Bilkul Free hai.
Uske Liye app Ye Google Business add Wali Post Jarur Padhiye . Google Business Dwara Apne Business Ka Free Promotion Kar Sakte hai Esliye app Google add My Business Me Apne Business Ko Add Karwa Sakte hai.
Previous
Next Post »

1 टिप्पणियाँ:

Click here for टिप्पणियाँ
4 मार्च 2022 को 9:33 am बजे ×

Casino & Slots Online | Dr. Maryland
Play real money slot machines or check out some of the top online 광주 출장샵 casino 삼척 출장마사지 sites in Maryland. Play and 김천 출장마사지 win big with our casino bonus offers. All 제주도 출장안마 in 경상북도 출장마사지

Congrats bro mabinnawaddel you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar
Thanks for your comment