google par photo kayese uplod kare


Ham sabhi chate hai ki hamari ek alag phechan ho or agar koi online hamare bare me search kare to hamara photo bhi aaye. Ye bhut logo ka sabaal hota hai or bo apna Photo Google par dekhna chate hai, par internet ki kam jaankari ki karan samaj nahi aata ki kaise kya kare Google par photo dikhne ke liye. mujse bhut logo ne pucha ki unko apna photo Google par dikhana hai bo kya kare. to aaj me ussi sabaal kal jabab de raha hu.
hindi me puri net jankari
Mene jab Google par search kiya Google par to google ne muje kuch is traha ke result diye bo aap bhi dekhiye.
google par search result
iska matlab hai bhut se log hai to chate hai jo Google par search karte hai apna Photo uspar dekhne ke liye.

Chaliye jaante hai Google Par apna photo kaise dekhe

Sabse phele me aapko bata du ki aap Google par apni Image upload nahi kar sakte q ki Google ek Search Engine hai, jo dusri site ko search karta hai or unki image ko bhi.

To Sabaal ye hai ki google par photo kaise aayega

Ye bhut saral hai or jab aap ye jaanloge to aap bhi sochoge ki ye kitna saral tha. Google par photo laane ke liye aapko karna ye hai ki aapko apni photo kisi site par upload karni hai.
Aapka FacebookTwitter, ya Google+ par account to jarur hoga. aapko karna ye hai ki apni photo in sites par upload kare or publicly share kare. Image ko upload karne ke baad us image ka naam or uski puri jaankari jarur like
Maanlo aap Facebook par ek photo upload kar rahe hai to jo sabse jaruri baat bo ye ki aapko us image ka naam or us photo ke baare me jarur likhna hai. jabhi bo image search me aa payegi.
bo photo jis naam se hogi agar us naam ko ham search karege to bo image bhi google ke image search me aayegi.
Agar aap apni jaankari online share karna chate hai to Facebook Twitter to hai or aap Google+ par apna account banayege or usme apni jaankari or apna photo upload kare. iske baad agar koi aapke naam se search karega Google par to aapka photo google ke Image search me jarur aayega.
Image upload karne ke baad thoda time lagta hai search engine me image aane me. thoda intjaar kare.

Image Blog me Upload karke Google me laye

Ye jo tarika hai ye sabse kargar tarika hai Apni Image ko Google me dikhane ka..uske liye kya karna chaliye jaante hai –
  1. Sabse phele apna ek Blog banaye Blogger par
  2. Ab usme ek post likhe or kaise apni image ki setting kare.
  3. Image ka SEO bhi jaruri hai.. Yaha dekhe kaise upload kare image ko or kya setting kare.
Blogger me sahi se image upload karne ke baad jada chances hai search me aane ke.. Thoda time lagta hai.. 1 mahina tak lag sakta hai.
Ummid hai aap ab samaj gaye hoge ki Image ko kaise Google par daale. or ye kitna saral hai par agar aapko fir bhi koi dikkat aa rahi hai to aap muje comment ke jariye bata sakte sakte hai.
Agar aapka Internet se related koi bhi sabaal hai to aap bo bhi puch sakte hai. Internet ki or jaankari ki liye hamara facebook page like jarur kare.
Previous
Next Post »

1 टिप्पणियाँ:

Click here for टिप्पणियाँ
24 मार्च 2021 को 11:27 pm बजे ×

Nice information, read also: On page seo kya hai

Congrats bro Hrithik Choudhary you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar
Thanks for your comment