Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare

HTTPS blog ki data security ke liye ek acha tarika hai. kuch important jankari jaise paise transfer karna, forum bharna, personal data saving me https ki security baht jaruri hai. agar aap inme se ek hai to aapko https enble rakhna chahiye. agar aap blogspot user hai to aap apne blog me simply https enable kar sakte hai. to chaliye ab hum iske bare me aage baat karte hai.


HTTPS:- HTTP (Hyper-text transfer protocol) S (secure)
jab aap kisi website ko open karte ho to wo website only http ke sath open hoti hai. https security enable na hone ki wajah se aapki data history koi bhi hacker hack kar sakta hai. jaise aap online koi forum bhar rahe ho to to aapki data kahi or bhi transfer ho sakti hai. or koi bhi hacker aapki personal data chura sakta hai. log in karne par aapke username or password bhi hack ho sakte hai. yani aapki puri information koi hack kar sakta hai. ab sawal ye hai ki is hacking se apni blog ko secre kaise kare. mai aapko btana chahunga ki banking and maney related site humesha green color me HTTPS:// ke sath hi open hoti hai. iska matlab hai ki ye website HTTPS security se apni data ko hack hone se bachati hai. aap bhi https enable kar ke apni site ko secure kar sakte hai

.HTTP vs HTTPS
Manlo aap apne kisi friend ko personnal data (sername & password) send kar rahe ho. agar aapke browesr me https na ho kar only http hai to koi bhi aapki data hack kar sakta hai. screenshot me maine http vs https ko clear show karne ki koshish ki hai. ummid hai aapko screenshot se sabkch samajh aa gaya honga. jaise ki image me btaya hua hai ki hum jab http secure code se data tranfer karte hai to wo hacker ke ps ja sakta hai. or agar hum https use kare to humari data secure 90% badh jati hai. or koi humari personal data hack nahi kar sakta.

Blogspot Blog Ke Liye Free HTTPS Security Enable Kaise Kar
Google ne pahle se hi Blogger me free https secure diya hua hai. kyuki Blogspot google ki hi service hai. aap blogger par custom domain use nahi karte hai to siply apne blog me https enable kar sakte hai.

sabse pahle apne Blogspot.com blog par log in kare.
blog ke dashboard par jaye or DROP DOWN par click kare.
 settings >> basic par click kare.
ab HTTPS settings ke samne Yes select kare.
That’s all good, blog ki HTTPS security enable ho gayi hai. aapka blog ab secure hai. ab aapki blog ki data koi bhi hack nahi kar sakta. aapki blog ki personal data (username & password) ab puri tarah safe hai.

Warning: Blogspot blog par aap custom domain use karte ho to aap HTTPS enable nahi kar sakte.  Blogger me HTTPS only blogspot.com domain par hi kaam karta hai.
Custom domain use karne par https kaise enable kare?

wordpress blog ke liye free https kaise enable kare?

aane wale dino me hum inke bare me baat karenge. aaj humne blogspot blog par https enable karna sikha hai. to aapko mneri ye jankari kaisi lagi hai. or aapko mujhse koi sawal puchna hai to chaliye comments ke throw humse apne sawal puchiye. hume aapki problem solve karne me khushi hogi. or agar aap bhi humari help karna chahe to is post ko apne dosto ke sath social network par share jarur kare.
Previous
Next Post »
Thanks for your comment