Blogger Free Template Download ke 6 Badiya Website

Kya aap Blogger/Blogspot user hai?

To jarur Google par best templates search kiye hoge. Lekin Main aaj is post me apko batane ja rha hu top 6 websites jaha se free me templates download kar sakte hai.


 
Waise to best looking templates paid (paise wale) hi milte hai internet par, aur kaafi mahange bhi hote hai. Lekin in website se aap free me download kar sakege wo bhi ek se ek template.

Top website List For Free Blogger/Blogspot Templates

Waise to hamne pichle post me bataya tha Blogger seo friendly Blogspot/Blogger templates. Lekin ab sath me is post me apko bataye website jo Free templates provide karti hai.

1.Sora templates

Is website ke jyadatar templates CSS3 par bane hai jo bahut hi well looking me hote hai, aur sab templates responsive bhi hote hai.


 
Is website me jo bhi template download karte hai uski puri detail bhi hoti hai jisme yah dekh sakte hai ki konsa templates ke kya features hai, aur sath me koi bhi templates ka live demo bhi dekh sakte hai.

2. Urang Kurai

Is website ka har tempalte bahut hi unique hai, jab aap is website se template lete hai to apka blog bahut hi unique lagega aur sath me look bhi is tarah se hota hai koi nahi kah sakta hai ki ye blogger ka hi template hai.

3. Deluxe templates 

Is website se aap apne man pasand ka template category wise choose karke download kar sakte hai jaise apka blog tech par hai to tech ki category ko choose kare to only tech ke hi template show hoge and music ka blog hai to music ki category ko choose kare.

Ye sab category is website me left side me hai aur agar aap chahte hai ki apko kewal 3 columns ke hi templates chahiye ya kewal 3 columns ke hi templates chahiye to wo bhi aap is website me choose kar sakte hai.

4. PBtemplate

Is website ki bhi yahi khasiyat hai ki koi bhi template ko category wise choose kar sakte hai.

Lekin isme category ko choose karne ke option aur bh jyada hai.

Jaise agar aap chahte hai ki apka footer is tarah ka ho tab aap category ko choose kar sakte hai aur sath me color, sidebars, columns and more categories se choose karke apne templates ko choose kar sakte hai.

5. Uong Jowo

Jaisa ki aap dekh sakte hai yah templates provide karne wali website khud ek blogspot par bani hai, aur iska address bhi blogspot hai. Yaha se bhi aap kahi bahtarin templates free me download kar sakte hai.

6. Blogtemplate4u

Aur in sab ke sath me ek yah bhi website hai jo Blogspot ke free templates provide karti hai.

Blogger me Templates Kaise Install Kare?

Blogger par templates XML file me hote hai, jinko 2 tariko se upload kar sakte hai ek to code ko copy and paste karke and second file ko upload karke.

Yaha click karke jane kese blogger/blogspot me template upload/install karte hai.

Dhyan Rakhe..!!

Agar aap koi bhi new templates ko install karte hai to dhyan rakhe ki pichle template ka backup lele, taki ho sakta hai new template apki site par suit na ho aur aap again pahla wala template ko install karna chahte ho.
Previous
Next Post »
Thanks for your comment